hamein waqf-e-gham sar-ba-sar dekh lete
hameñ vaqf-e-ġham sar-ba-sar dekh lete
vo tum kuchh na karte magar dekh lete
na karte kabhī ḳhvāhish-e-sair-e-jannat
jo vaa.iz tirā rahguzar dekh lete
rasā.ī kahāñ bazm-e-dushman meñ apnī
ki ham bhī unheñ ik nazar dekh lete
tamannā ko phir kuchh shikāyat na rahtī
jo tum bhuul kar bhī idhar dekh lete
na rahtī ḳhabar diin o duniyā kī 'hasrat'
jo sote unheñ be-ḳhabar dekh lete
hamein waqf-e-gham sar-ba-sar dekh lete
wo tum kuchh na karte magar dekh lete
na karte kabhi KHwahish-e-sair-e-jannat
jo waiz tera rahguzar dekh lete
rasai kahan bazm-e-dushman mein apni
ki hum bhi unhen ek nazar dekh lete
tamanna ko phir kuchh shikayat na rahti
jo tum bhul kar bhi idhar dekh lete
na rahti KHabar din o duniya ki 'hasrat'
jo sote unhen be-KHabar dekh lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.