hamein ye raaz sabhi ko batana hota hai
hameñ ye raaz sabhī ko batānā hotā hai
na.e ke baa'd hī koī purānā hotā hai
bilā-javāz nahīñ boltā huuñ der talak
ki maiñ ne baat ko aage baḌhānā hotā hai
yūñhī nahīñ mirī āñkhoñ meñ ashk lahrāte
ki har kisī ne mirā dil dukhānā hotā hai
ye munsifīn kisī ko bhī haq nahīñ dete
ḳhudā kā faisla hī munsifāna hotā hai
ye dasht vaale miyāñ hijr gungunāte haiñ
har ek ḳhitte kā qaumī tarāna hotā hai
kisī ko de dī hai tohfe meñ yūsufī kī kitāb
ki ham ne kaunsā ab muskurānā hotā hai
hamārī baat vagarna koī nahīñ suntā
lihāzā shor to ham ne machānā hotā hai
hamein ye raaz sabhi ko batana hota hai
nae ke ba'd hi koi purana hota hai
bila-jawaz nahin bolta hun der talak
ki main ne baat ko aage baDhana hota hai
yunhi nahin meri aankhon mein ashk lahraate
ki har kisi ne mera dil dukhana hota hai
ye munsifin kisi ko bhi haq nahin dete
KHuda ka faisla hi munsifana hota hai
ye dasht wale miyan hijr gungunate hain
har ek KHitte ka qaumi tarana hota hai
kisi ko de di hai tohfe mein yusufi ki kitab
ki hum ne kaunsa ab muskurana hota hai
hamari baat wagarna koi nahin sunta
lihaza shor to hum ne machana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.