hamesha dil mein rahta hai kabhi goya nahin jata
hamesha dil meñ rahtā hai kabhī goyā nahīñ jaatā
jise paayā nahīñ jaatā use khoyā nahīñ jaatā
kuchh aise zaḳhm haiñ jin ko sabhī shādāb lagte haiñ
kuchh aise daaġh haiñ jin ko kabhī dhoyā nahīñ jaatā
ajab sī guuñj uThtī dar-o-dīvār se har-dam
ye ḳhvāboñ kā ḳharāba hai yahāñ soyā nahīñ jaatā
bahut hañsne kī aadat kā yahī anjām hotā hai
ki ham ronā bhī chāheñ to kabhī royā nahīñ jaatā
hamesha dil mein rahta hai kabhi goya nahin jata
jise paya nahin jata use khoya nahin jata
kuchh aise zaKHm hain jin ko sabhi shadab lagte hain
kuchh aise dagh hain jin ko kabhi dhoya nahin jata
ajab si gunj uThti dar-o-diwar se har-dam
ye KHwabon ka KHaraba hai yahan soya nahin jata
bahut hansne ki aadat ka yahi anjam hota hai
ki hum rona bhi chahen to kabhi roya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.