hamesha ek si raftar ho aisa nahin hota
hamesha ek sī raftār ho aisā nahīñ hotā
mire hī haath meñ patvār ho aisā nahīñ hotā
maiñ saare pech-o-ḳham ko rafta rafta jaan jā.ūñgā
koī rasta sadā dushvār ho aisā nahīñ hotā
samājī tāne-bāne meñ judā mansab judā qadreñ
sabhī kā ek hī me.aar ho aisā nahīñ hotā
chalo aao mileñ baiTheñ kareñ kuchh pyaar kī bāteñ
hamesha talḳh hī guftār ho aisā nahīñ hotā
tum apne ḳhanjar-o-nashtar liye tayyār baiThe ho
abhī hī siina bhī tayyār ho aisā nahīñ hotā
ho vaz.a muḳhtalif jab Topiyoñ kī 'nazr' to suniye
vo majlis ḳhatm be-takrār ho aisā nahīñ hotā
hamesha ek si raftar ho aisa nahin hota
mere hi hath mein patwar ho aisa nahin hota
main sare pech-o-KHam ko rafta rafta jaan jaunga
koi rasta sada dushwar ho aisa nahin hota
samaji tane-bane mein juda mansab juda qadren
sabhi ka ek hi mear ho aisa nahin hota
chalo aao milen baiThen karen kuchh pyar ki baaten
hamesha talKH hi guftar ho aisa nahin hota
tum apne KHanjar-o-nashtar liye tayyar baiThe ho
abhi hi sina bhi tayyar ho aisa nahin hota
ho waza muKHtalif jab Topiyon ki 'nazr' to suniye
wo majlis KHatm be-takrar ho aisa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.