hamesha manna ai yar mashwara dil ka
hamesha mānñā ai yaar mashvara dil kā
kabhī ġhalat nahīñ hotā hai faisla dil kā
baḌā ajiib hai yaaro mo.āmla dil kā
ġham-o-alam se hai din raat vāsta dil kā
alāva is ke na hamdam na koī rahbar hai
hujūm-e-ġham liye phirtā hai qāfila dil kā
kabhī ḳhushī se kabhī ġham meñ kyoñ dhaḌaktā hai
samajh meñ kuchh nahīñ aatā hai falsafa dil kā
tamām jism ke a.azā pe hukmrānī hai
ḳhudā ne ḳhuub banāyā hai martaba dil kā
mileñ to milne kī rahtī hai aarzū dil meñ
ulajh rahā hai ka.ī din se mas.ala dil kā
tujhe banā.eñge apnā banā.eñge apnā
koī badal nahīñ saktā hai faisla dil kā
agar aziiz hai tum ko sukūn-e-dil yaaro
banā.e rakhnā hasīnoñ se fāsla dil kā
ġhamoñ kā bojh masā.ib hoñ yā pareshānī
kabhī na chhoḌnā ai 'dard' hausla dil kā
hamesha manna ai yar mashwara dil ka
kabhi ghalat nahin hota hai faisla dil ka
baDa ajib hai yaro moamla dil ka
gham-o-alam se hai din raat wasta dil ka
alawa is ke na hamdam na koi rahbar hai
hujum-e-gham liye phirta hai qafila dil ka
kabhi KHushi se kabhi gham mein kyon dhaDakta hai
samajh mein kuchh nahin aata hai falsafa dil ka
tamam jism ke aaza pe hukmrani hai
KHuda ne KHub banaya hai martaba dil ka
milen to milne ki rahti hai aarzu dil mein
ulajh raha hai kai din se masala dil ka
tujhe banaenge apna banaenge apna
koi badal nahin sakta hai faisla dil ka
agar aziz hai tum ko sukun-e-dil yaro
banae rakhna hasinon se fasla dil ka
ghamon ka bojh masaib hon ya pareshani
kabhi na chhoDna ai 'dard' hausla dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.