hamesha tamanna-o-hasrat ka jhagDa hamesha wafa-o-mohabbat ka hullaD
hamesha tamanna-o-hasrat ka jhagDa hamesha wafa-o-mohabbat ka hullaD
Nooh Narvi
MORE BYNooh Narvi
hamesha tamannā-o-hasrat kā jhagḌā hamesha vafā-o-mohabbat kā hullaḌ
thame kyā tabī'at ruke kis tarah dil ye aafat vo fitna ye āñdhī vo jhakkaḌ
jo rāz-e-mohabbat ko jānegā koī to ye jaan le vo machā degā gaḌbaḌ
nazar kī tarah baḌh nazar kī tarah ruk nazar kī tarah mil nazar kī tarah laḌ
mire dil ke hāthoñ se bahr-e-vafā meñ mirī zindagī meñ na ho jaa.e gaḌbaḌ
kabhī kasrat-e-ranj-o-ġham kā thapeḌā kabhī josh-e-ummīd-o-hasrat kī ojhaḌ
kahāñ maiñ huuñ aisā ki tū mehrbāñ ho kahāñ qismat aisī ki āsāñ ho mushkil
agar aur gāhak nahīñ koī terā to ai ḳhanjar-e-nāz mere gale paḌ
bashar kyā farishte jo pīTeñ DhiñDhorā to kyuuñ kar chhupe raaz kam-baḳht dil kā
idhar aah niklī hamārī zabāñ se udhar mach gayā saarī duniyā meñ hullaḌ
sar-e-ham-sarī husn-o-nāz-o-adā meñ na rakhtā thā koī na rakkhegā koī
tirā aks-e-ā.īna hai aur tū hai jo laḌnā hai tujh ko to apne hī se laḌ
bahār-e-javānī hayāt-e-javānī na ye ġhair-fānī na vo ġhair-fānī
urūs-e-chaman kā utartā hai gahnā ḳhizāñ ke zamāne meñ hotī hai patjhaḌ
hazāroñ mare haiñ hazāroñ mare haiñ hazāroñ mareñge hazāroñ miTeñge
vo insāñ nahīñ us ko samjho farishta jo bardāsht kar le mohabbat kī ojhaḌ
vo 'arz-e-tamannā ko fariyād samjhe vo fariyād ko ġham kī rūdād samjhe
zarā sī mirī baat thī lekin us kā huā rafta rafta kahāñ tak batañgaḌ
udhar aish-o-ishrat idhar yās-o-hasrat jahāñ vaale dekheñ jahāñ kī do-rañgī
kahīñ koī paiham bachātā hai baġhleñ koī pīTtā hai kahīñ sar dhaḌā-dhaḌ
mohabbat ne chhoḌā ye turfa shagūfa bahār-e-javānī bhī dil ne na dekhī
abhī phūlne-phalne ke din kahāñ the magar kaT ga.ī naḳhl-e-ummīd kī jaḌ
jo ik jañg-jū idrāk sulh-jū ho to jhagḌā na uTThe bakheḌā na uThe
dil-o-dil-rubā meñ nibhe kyā mohabbat udhar vo bhī ziddī idhar ye bhī akkhaḌ
kiye saikḌoñ ahd-o-paimān-e-ulfat magar ḳhair se koī sachchā na niklā
vo kahte haiñ milne ko ab hashr ke din kahīñ ho na jaa.e kuchh us din bhī gaḌbaḌ
muqaddar meñ likkhā thā hun kar bigaḌnā koī kyuuñ na martā koī kyuuñ na uThtā
zamīñ-doz ahl-e-zamīñ ho ga.e sab paḌī āsmāñ se vo sar par do-hatthaḌ
jo nāvak chale aur talvār niklī to qaa.em rahā maiñ hī 'ahd-e-vafā par
kisī ne kisī ko bhī phir kar na dekhā paḌī imtihāñ-ghar meñ kuchh aisī bhāgaḌ
samajhte haiñ āġhāz-o-anjām apnā mah-o-mehr kyā ā.eñge tere aage
idhar se udhar un kā phir jā.egā muñh lagā.egī sharmindagī aisā thappaḌ
ḳhayāl-o-tasavvur meñ hargiz na laanā hañsī dil-lagī meñ hamesha uḌānā
mire da.av-e-ishq kī qadr kyā ho vo is ko samajhte haiñ majzūb kī baḌ
jahāñ dekhtā huuñ vahāñ dekhtā huuñ jidhar dekhtā huuñ udhar dekhtā huuñ
mohabbat kī shorish mohabbat kī ūdham mohabbat kā ġhauġhā mohabbat kā hullaḌ
mazā jab hai aapas meñ kuchh jang bhī ho mazā jang meñ jab hai kuchh sulh bhī ho
dikhā de talavvun kā apne tamāshā idhar laḌ udhar mil idhar mil udhar laḌ
bahāyā mazāmīn kā tum ne dariyā ġhazal meñ bahut ḳhuub ash'ār likkhe
zamāne ko ai 'nūh' hairat na kyuuñ ho ki tūfān aisā zamīn aisī gaḌbaḌ
hamesha tamanna-o-hasrat ka jhagDa hamesha wafa-o-mohabbat ka hullaD
thame kya tabi'at ruke kis tarah dil ye aafat wo fitna ye aandhi wo jhakkaD
jo raaz-e-mohabbat ko jaanega koi to ye jaan le wo macha dega gaDbaD
nazar ki tarah baDh nazar ki tarah ruk nazar ki tarah mil nazar ki tarah laD
mere dil ke hathon se bahr-e-wafa mein meri zindagi mein na ho jae gaDbaD
kabhi kasrat-e-ranj-o-gham ka thapeDa kabhi josh-e-ummid-o-hasrat ki ojhaD
kahan main hun aisa ki tu mehrban ho kahan qismat aisi ki aasan ho mushkil
agar aur gahak nahin koi tera to ai KHanjar-e-naz mere gale paD
bashar kya farishte jo piTen DhinDhora to kyun kar chhupe raaz kam-baKHt dil ka
idhar aah nikli hamari zaban se udhar mach gaya sari duniya mein hullaD
sar-e-ham-sari husn-o-naz-o-ada mein na rakhta tha koi na rakkhega koi
tera aks-e-aina hai aur tu hai jo laDna hai tujh ko to apne hi se laD
bahaar-e-jawani hayat-e-jawani na ye ghair-fani na wo ghair-fani
urus-e-chaman ka utarta hai gahna KHizan ke zamane mein hoti hai patjhaD
hazaron mare hain hazaron mare hain hazaron marenge hazaron miTenge
wo insan nahin us ko samjho farishta jo bardasht kar le mohabbat ki ojhaD
wo 'arz-e-tamanna ko fariyaad samjhe wo fariyaad ko gham ki rudad samjhe
zara si meri baat thi lekin us ka hua rafta rafta kahan tak batangaD
udhar aish-o-ishrat idhar yas-o-hasrat jahan wale dekhen jahan ki do-rangi
kahin koi paiham bachata hai baghlen koi piTta hai kahin sar dhaDa-dhaD
mohabbat ne chhoDa ye turfa shagufa bahaar-e-jawani bhi dil ne na dekhi
abhi phulne-phalne ke din kahan the magar kaT gai naKHl-e-ummid ki jaD
jo ek jang-ju idrak sulh-ju ho to jhagDa na uTThe bakheDa na uThe
dil-o-dil-ruba mein nibhe kya mohabbat udhar wo bhi ziddi idhar ye bhi akkhaD
kiye saikDon ahd-o-paiman-e-ulfat magar KHair se koi sachcha na nikla
wo kahte hain milne ko ab hashr ke din kahin ho na jae kuchh us din bhi gaDbaD
muqaddar mein likkha tha hun kar bigaDna koi kyun na marta koi kyun na uThta
zamin-doz ahl-e-zamin ho gae sab paDi aasman se wo sar par do-hatthaD
jo nawak chale aur talwar nikli to qaem raha main hi 'ahd-e-wafa par
kisi ne kisi ko bhi phir kar na dekha paDi imtihan-ghar mein kuchh aisi bhagaD
samajhte hain aaghaz-o-anjam apna mah-o-mehr kya aaenge tere aage
idhar se udhar un ka phir jaega munh lagaegi sharmindagi aisa thappaD
KHayal-o-tasawwur mein hargiz na lana hansi dil-lagi mein hamesha uDana
mere daw-e-ishq ki qadr kya ho wo is ko samajhte hain majzub ki baD
jahan dekhta hun wahan dekhta hun jidhar dekhta hun udhar dekhta hun
mohabbat ki shorish mohabbat ki udham mohabbat ka ghaugha mohabbat ka hullaD
maza jab hai aapas mein kuchh jang bhi ho maza jang mein jab hai kuchh sulh bhi ho
dikha de talawwun ka apne tamasha idhar laD udhar mil idhar mil udhar laD
bahaya mazamin ka tum ne dariya ghazal mein bahut KHub ash'ar likkhe
zamane ko ai 'nuh' hairat na kyun ho ki tufan aisa zamin aisi gaDbaD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.