hamin tak rah gaya qissa hamara
hamīñ tak rah gayā qissa hamārā
kisī ne ḳhat nahīñ kholā hamārā
paḌhā.ī chal rahī hai zindagī kī
abhī utrā nahīñ basta hamārā
muāfī aur itnī sī ḳhatā par
sazā se kaam chal jaatā hamārā
kisī ko phir bhī mahñge lag rahe the
faqat sāñsoñ kā ḳharcha thā hamārā
yahīñ tak is shikāyat ko na samjho
ḳhudā tak jā.egā jhagḌā hamārā
taraf-dārī nahīñ kar paa.e dil kī
akelā paḌ gayā banda hamārā
ta.āruf kyā karā aa.e kisī se
usī ke saath hai saaya hamārā
nahīñ the jashn-e-yād-e-yār meñ ham
so ghar par aa gayā hissa hamārā
hameñ bhī chāhiye tanhā.ī 'shāriq'
samajhtā hī nahīñ saaya hamārā
hamin tak rah gaya qissa hamara
kisi ne KHat nahin khola hamara
paDhai chal rahi hai zindagi ki
abhi utra nahin basta hamara
muafi aur itni si KHata par
saza se kaam chal jata hamara
kisi ko phir bhi mahnge lag rahe the
faqat sanson ka KHarcha tha hamara
yahin tak is shikayat ko na samjho
KHuda tak jaega jhagDa hamara
taraf-dari nahin kar pae dil ki
akela paD gaya banda hamara
taaruf kya kara aae kisi se
usi ke sath hai saya hamara
nahin the jashn-e-yaad-e-yar mein hum
so ghar par aa gaya hissa hamara
hamein bhi chahiye tanhai 'shaariq'
samajhta hi nahin saya hamara
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 102)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.