hamin wafaon se rahte the be-yaqin bahut
hamīñ vafāoñ se rahte the be-yaqīn bahut
dil-o-nigāh meñ aa.e the mah-jabīn bahut
vo ek shaḳhs jo dikhne meñ Thīk-Thāk sā thā
bichhaḌ rahā thā to lagne lagā hasīn bahut
tū jā rahā thā bichhaḌ ke to har qadam pe tire
phisal rahī thī mire paañv se zamīn bahut
vo jis meñ bichhḌe hue dil lipaT ke rote haiñ
maiñ dekhtā huuñ kisī film kā vo scene bahut
tire ḳhayāl bhī dil se nahīñ guzarte ab
isī mazār pe aate the zā.erīn bahut
taḌap taḌap ke jahāñ maiñ ne jaan dī hai 'sirāj'
khaḌe hue the vahīñ par tamāshbīn bahut
hamin wafaon se rahte the be-yaqin bahut
dil-o-nigah mein aae the mah-jabin bahut
wo ek shaKHs jo dikhne mein Thik-Thak sa tha
bichhaD raha tha to lagne laga hasin bahut
tu ja raha tha bichhaD ke to har qadam pe tere
phisal rahi thi mere panw se zamin bahut
wo jis mein bichhDe hue dil lipaT ke rote hain
main dekhta hun kisi film ka wo scene bahut
tere KHayal bhi dil se nahin guzarte ab
isi mazar pe aate the zaerin bahut
taDap taDap ke jahan main ne jaan di hai 'siraj'
khaDe hue the wahin par tamashbin bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.