hamraaz-e-raqib ho gae ho
hamrāz-e-raqīb ho ga.e ho
ab mere qarīb ho ga.e ho
tum apnā makān bhī ujālo
tāroñ ke munīb ho ga.e ho
bīmār-e-ummīd ko duā do
majbūr tabīb ho ga.e ho
tābūt meñ ruuh phūñkne ko
tum izn-e-salīb ho ga.e ho
har parde ke baad ek parda
had darja ajiib ho ga.e ho
sone kī añgushtarī meñ 'ahmad'
añgusht-e-ġharīb ho ga.e ho
hamraaz-e-raqib ho gae ho
ab mere qarib ho gae ho
tum apna makan bhi ujalo
taron ke munib ho gae ho
bimar-e-ummid ko dua do
majbur tabib ho gae ho
tabut mein ruh phunkne ko
tum izn-e-salib ho gae ho
har parde ke baad ek parda
had darja ajib ho gae ho
sone ki angushtari mein 'ahmad'
angusht-e-gharib ho gae ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.