hangama bapa hashr ka ai dosto jab ho
hangama bapa hashr ka ai dosto jab ho
Mohammad Shamsuddin Aajiz
MORE BYMohammad Shamsuddin Aajiz
hangāma bapā hashr kā ai dosto jab ho
sāqī-e-gul-andām ho aur bint-e-inab ho
zanjīr-e-dar-e-yār pe rahtī haiñ nigāheñ
fajr-o-zuhar-o-asr yā tārīki-e-shab ho
dil do jigar-o-jān bhī īmān bhī ye kyā
muhtāj nahīñ par baḌe bisyār-talab ho
hāsid are buzdil are shātir are zālim
hāsil tujhe taskīn-e-dilī ho bhī to kab ho
'ājiz' karo ārām ki sattar ke hue tum
is umr meñ marne kī havas vaah ajab ho
hangama bapa hashr ka ai dosto jab ho
saqi-e-gul-andam ho aur bint-e-inab ho
zanjir-e-dar-e-yar pe rahti hain nigahen
fajr-o-zuhar-o-asr ya tariki-e-shab ho
dil do jigar-o-jaan bhi iman bhi ye kya
muhtaj nahin par baDe bisyar-talab ho
hasid are buzdil are shatir are zalim
hasil tujhe taskin-e-dili ho bhi to kab ho
'ajiz' karo aaram ki sattar ke hue tum
is umr mein marne ki hawas wah ajab ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.