hangama-e-hayat ko koi to nam de
hangāma-e-hayāt ko koī to naam de
ai zindagī mujhe tū munāsib maqām de
jaldī na kar ki sāqiyā ye fe'l hai burā
baaqī hai shab tamām salīqe se jaam de
charchā mirī shikast kā kuchh der tak to ho
maiñ kab ye chāhtā thā baqā-e-davām de
ye kyā ki ek taal pe duniyā hai mahv-e-raqs
is gardish-e-kuhan ko na.e sub.h-o-shām de
'ahmar-nadīm' zabt ke pahlū ko thaam kar
kyā tausan-e-hayāt ko koī lagām de
hangama-e-hayat ko koi to nam de
ai zindagi mujhe tu munasib maqam de
jaldi na kar ki saqiya ye fe'l hai bura
baqi hai shab tamam saliqe se jam de
charcha meri shikast ka kuchh der tak to ho
main kab ye chahta tha baqa-e-dawam de
ye kya ki ek tal pe duniya hai mahw-e-raqs
is gardish-e-kuhan ko nae subh-o-sham de
'ahmar-nadim' zabt ke pahlu ko tham kar
kya tausan-e-hayat ko koi lagam de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.