hangama-e-sukut bapa kar chuke hain hum
hañgāma-e-sukūt bapā kar chuke haiñ ham
ik 'umr us galī meñ sadā kar chuke haiñ ham
apne ġhazāl-e-dil kā nahīñ mil rahā surāġh
sahrā se shahr tak to patā kar chuke haiñ ham
ab tesha-e-nazar se ye dil TūTtā nahīñ
is aa.ine ko sañg-numā kar chuke haiñ ham
har baar apne paañv ḳhalā meñ aTak ga.e
sau baar ḳhud ko rizq-e-havā kar chuke haiñ ham
ab is ke baa'd kuchh bhī nahīñ iḳhtiyār meñ
vo jabr thā ki ḳhud ko ḳhudā kar chuke haiñ ham
hangama-e-sukut bapa kar chuke hain hum
ek 'umr us gali mein sada kar chuke hain hum
apne ghazal-e-dil ka nahin mil raha suragh
sahra se shahr tak to pata kar chuke hain hum
ab tesha-e-nazar se ye dil TuTta nahin
is aaine ko sang-numa kar chuke hain hum
har bar apne panw KHala mein aTak gae
sau bar KHud ko rizq-e-hawa kar chuke hain hum
ab is ke ba'd kuchh bhi nahin iKHtiyar mein
wo jabr tha ki KHud ko KHuda kar chuke hain hum
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 109)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 107)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.