hans raha tha main bahut go waqt wo rone ka tha
hañs rahā thā maiñ bahut go vaqt vo rone kā thā
saḳht kitnā marhala tujh se judā hone kā thā
rat-jage taqsīm kartī phir rahī haiñ shahr meñ
shauq jin āñkhoñ ko kal tak raat meñ sone kā thā
is safar meñ bas mirī tanhā.ī mere saath thī
har qadam kyuuñ ḳhauf mujh ko bhiiḌ meñ khone kā thā
har bun-e-mū se darindoñ kī sadā aane lagī
kaam hī aisā badan meñ ḳhvāhisheñ bone kā thā
maiñ ne jab se ye sunā hai ḳhud se bhī nādim huuñ maiñ
zikr tujh hoñToñ pe mere dar-ba-dar hone kā thā
hans raha tha main bahut go waqt wo rone ka tha
saKHt kitna marhala tujh se juda hone ka tha
rat-jage taqsim karti phir rahi hain shahr mein
shauq jin aankhon ko kal tak raat mein sone ka tha
is safar mein bas meri tanhai mere sath thi
har qadam kyun KHauf mujh ko bhiD mein khone ka tha
har bun-e-mu se darindon ki sada aane lagi
kaam hi aisa badan mein KHwahishen bone ka tha
main ne jab se ye suna hai KHud se bhi nadim hun main
zikr tujh honTon pe mere dar-ba-dar hone ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.