hansate hain mujhko rulane se pahle
hañsāte haiñ mujh ko rulāne se pahle
banāne kī koshish miTāne se pahle
rihā ho ke ab kyā gulistāñ ko jā.ūñ
ḳhizāñ aa ga.ī mere aane se pahle
talātum se zor āzmānā paḌegā
safīne ko sāhil pe laane se pahle
na ban jaa.e ummīd māyūs ġham ko
koī soch le muskurāne se pahle
na pūchh un kī maḳhmūr nazroñ kā aalam
sahārā milā laḌkhaḌāne se pahle
na ye bijliyāñ thiiñ na ye āñdhiyāñ thiiñ
hamāre nasheman banāne se pahle
zarā apne dil ke taqāze to samjho
mire dil kī duniyā miTāne se pahle
mire dil kī be-tābiyāñ rang lā.īñ
vo ḳhud aa ga.e yaad aane se pahle
na ye dilkashī thī na rangīniyāñ thiiñ
'sa.īd' un ke tashrīf laane se pahle
hansate hain mujh ko rulane se pahle
banane ki koshish miTane se pahle
riha ho ke ab kya gulistan ko jaun
KHizan aa gai mere aane se pahle
talatum se zor aazmana paDega
safine ko sahil pe lane se pahle
na ban jae ummid mayus gham ko
koi soch le muskurane se pahle
na puchh un ki maKHmur nazron ka aalam
sahaara mila laDkhaDane se pahle
na ye bijliyan thin na ye aandhiyan thin
hamare nasheman banane se pahle
zara apne dil ke taqaze to samjho
mere dil ki duniya miTane se pahle
mere dil ki be-tabiyan rang lain
wo KHud aa gae yaad aane se pahle
na ye dilkashi thi na ranginiyan thin
'said' un ke tashrif lane se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.