hansi chehre se kab se lapata hai
hañsī chehre se kab se lāpata hai
ga.e tum jab se tab se lāpata hai
samundar mutma.in hai is liye bhī
tamanna tishna-lab se lāpata hai
patā hai kyā tire andar kā insāñ
tire andar se kab se lāpata hai
marīz-e-'ishq kab se muntazir haiñ
tabīb-e-dil matab se lāpata hai
use bhī gum-shuda chīzoñ meñ likh do
sukūn-e-qalb kab se lāpata hai
hansi chehre se kab se lapata hai
gae tum jab se tab se lapata hai
samundar mutmain hai is liye bhi
tamanna tishna-lab se lapata hai
pata hai kya tere andar ka insan
tere andar se kab se lapata hai
mariz-e-'ishq kab se muntazir hain
tabib-e-dil matab se lapata hai
use bhi gum-shuda chizon mein likh do
sukun-e-qalb kab se lapata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.