Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hansi mein saghar-e-zarrin khanak khanak jae

Akbar Hameedi

hansi mein saghar-e-zarrin khanak khanak jae

Akbar Hameedi

MORE BYAkbar Hameedi

    hañsī meñ sāġhar-e-zarrīñ khanak khanak jaa.e

    shabāb us sadā chhalak chhalak jaa.e

    dil-o-nazar meñ basī hai vo chāñd sūrat

    vo dil-kashī hai ki bālak humak humak jaa.e

    libās meñ hai vo tarz-e-tapāk-e-ārā.ish

    jo añg chāhe chhupānā jhalak jhalak jaa.e

    qadam qadam tirī ra.anā.iyoñ ke dar hoñ

    ravish ravish tirā āñchal Dhalak Dhalak jaa.e

    nafas nafas ho sabā tarah bahār-añgez

    ufuq ufuq gul-e-hastī mahak mahak jaa.e

    nashāt-e-qurb ke lamhoñ meñ us añgḌā.ī

    ubhar ke ḳhāk-e-badan se dhanak dhanak jaa.e

    baqā ke raaz haiñ sab us pe munkashif 'akbar'

    vo shāḳh-e-sabz havā se lachak lachak jaa.e

    hansi mein saghar-e-zarrin khanak khanak jae

    shabab us ki sada ka chhalak chhalak jae

    dil-o-nazar mein basi hai wo chand si surat

    wo dil-kashi hai ki baalak humak humak jae

    libas mein hai wo tarz-e-tapak-e-araish

    jo ang chahe chhupana jhalak jhalak jae

    qadam qadam teri ranaiyon ke dar wa hon

    rawish rawish tera aanchal Dhalak Dhalak jae

    nafas nafas ho saba ki tarah bahaar-angez

    ufuq ufuq gul-e-hasti mahak mahak jae

    nashat-e-qurb ke lamhon mein us ki angDai

    ubhar ke KHak-e-badan se dhanak dhanak jae

    baqa ke raaz hain sab us pe munkashif 'akbar'

    wo shaKH-e-sabz hawa se lachak lachak jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now