hansi unki gul aur chaman jaante hain
hañsī un kī gul aur chaman jānte haiñ
ye lab muskurāne kā fan jānte haiñ
na.e log ho tum na.ī baat jaano
mirā haal ahl-e-kuhan jānte haiñ
mubārak ho tum ko hisār-e-ḳhamoshī
zabāñ vaale tarz-e-suḳhan jānte haiñ
lahū ke jo qatre bahā.e haiñ maiñ ne
mire jism ke pairahan jānte haiñ
tum hī sāhab-e-saltanat to nahīñ ho
hukūmat ke ham bhī chalan jānte haiñ
shab-o-roz mere guzarte haiñ kaise
'asad' ye to ahl-e-vatan jānte haiñ
hansi un ki gul aur chaman jaante hain
ye lab muskurane ka fan jaante hain
nae log ho tum nai baat jaano
mera haal ahl-e-kuhan jaante hain
mubarak ho tum ko hisar-e-KHamoshi
zaban wale tarz-e-suKHan jaante hain
lahu ke jo qatre bahae hain main ne
mere jism ke pairahan jaante hain
tum hi sahab-e-saltanat to nahin ho
hukumat ke hum bhi chalan jaante hain
shab-o-roz mere guzarte hain kaise
'asad' ye to ahl-e-watan jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.