hansta hai bar bar mera yar dekh kar
hañstā hai baar baar mirā yaar dekh kar
mujh ko musībatoñ meñ giraftār dekh kar
ye kārobār-e-shauq hai vo sāhib-hunar
sāmān bechte haiñ ḳharīdār dekh kar
vo har qadam pe Thokareñ khāte haiñ bārhā
chalte nahīñ jo vaqt kī raftār dekh kar
pazhmurda phuul hai vo isī nau-bahār kā
patthar na pheñko tanz kā bekār dekh kar
vo log pāsbān-e-haram ho na pā.eñge
jo bhāgte haiñ lashkar-e-kuffār dekh kar
hairat-zada rahegā vo maidān-e-hashr meñ
jo mujh ko Toktā thā gunahgār dekh kar
pyāre nabī ke nutq kā e.ajāz dekhiye
kankar bhī kalima paḌhte haiñ guftār dekh kar
'anjum' vatan kī yaad bhī shiddat se aa ga.ī
ik mādar-e-ġharīb ko bīmār dekh kar
hansta hai bar bar mera yar dekh kar
mujh ko musibaton mein giraftar dekh kar
ye karobar-e-shauq hai wo sahib-hunar
saman bechte hain KHaridar dekh kar
wo har qadam pe Thokaren khate hain barha
chalte nahin jo waqt ki raftar dekh kar
pazhmurda phul hai wo isi nau-bahaar ka
patthar na phenko tanz ka bekar dekh kar
wo log pasban-e-haram ho na paenge
jo bhagte hain lashkar-e-kuffar dekh kar
hairat-zada rahega wo maidan-e-hashr mein
jo mujh ko Tokta tha gunahgar dekh kar
pyare nabi ke nutq ka eajaz dekhiye
kankar bhi kalima paDhte hain guftar dekh kar
'anjum' watan ki yaad bhi shiddat se aa gai
ek madar-e-gharib ko bimar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.