hanste hanste kah di baat
hañste hañste kah dī baat
tum ne āḳhir kaḌvī baat
mere liye patthar kī lakīr
kaañp ke muñh se niklī baat
barsoñ baa'd bhī lagtā hai
jaise ho kal hī kī baat
pal meñ lahja badal gayā
dekhī tum ne us kī baat
āñkhoñ meñ chehra un kā
dil meñ ik ik ann kī baat
'paikar' aisā jhuuT na bol
lagne lage jo sachchī baat
hanste hanste kah di baat
tum ne aaKHir kaDwi baat
mere liye patthar ki lakir
kanp ke munh se nikli baat
barson ba'd bhi lagta hai
jaise ho kal hi ki baat
pal mein lahja badal gaya
dekhi tum ne us ki baat
aankhon mein chehra un ka
dil mein ek ek ann ki baat
'paikar' aisa jhuT na bol
lagne lage jo sachchi baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.