hanste hanste wo jo roya
hañste hañste vo jo royā
koī dīvāna thā goyā
dil ke dukh se dekho maiñ ne
āñkhoñ kā ye āñgan dhoyā
aañsū paa.e hairat kyuuñ hai
vo kaaTā hai jo thā boyā
baras lage paane meñ jis ko
ik lamha meñ us ko khoyā
saarī saarī raat maiñ jaagā
vo merī āñkhoñ meñ soyā
hanste hanste wo jo roya
koi diwana tha goya
dil ke dukh se dekho main ne
aankhon ka ye aangan dhoya
aansu pae hairat kyun hai
wo kaTa hai jo tha boya
baras lage pane mein jis ko
ek lamha mein us ko khoya
sari sari raat main jaga
wo meri aankhon mein soya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.