hanuz ishq mein shoala sa jal bujha kya hai
hanūz ishq meñ sho.ala sā jal bujhā kyā hai
na-jāne aaj bhī vahshat meñ sar-phirā kyā hai
faqīr aa.e the mahfil meñ terī sunñe ko
vo baat tujh meñ sunāne kā hausla kyā hai
vafā hai mujh se ḳhafā aur tū ḳhafā mujh se
zarā ye dekh jafā ne terī kiyā kyā hai
ye merā sabr bhī jo kaam mere aa na sakā
to ai ḳhudā ye mirā tujh pe aasrā kyā hai
sadā-e-shauq ko mahmez kar rahī hai havā
bisāt apnī vagarna yahāñ sivā kyā hai
ye ḳhāk-e-des hai yā hai ye ḳhāk-e-karb-o-balā
lahū se karte haiñ sairāb mājrā kyā hai
samajhnā chāho to 'zahrā' se ziist ko samjho
nafi sabāt man-o-tū mo.āmla kyā hai
hanuz ishq mein shoala sa jal bujha kya hai
na-jaane aaj bhi wahshat mein sar-phira kya hai
faqir aae the mahfil mein teri sunne ko
wo baat tujh mein sunane ka hausla kya hai
wafa hai mujh se KHafa aur tu KHafa mujh se
zara ye dekh jafa ne teri kiya kya hai
ye mera sabr bhi jo kaam mere aa na saka
to ai KHuda ye mera tujh pe aasra kya hai
sada-e-shauq ko mahmez kar rahi hai hawa
bisat apni wagarna yahan siwa kya hai
ye KHak-e-des hai ya hai ye KHak-e-karb-o-bala
lahu se karte hain sairab majra kya hai
samajhna chaho to 'zahra' se zist ko samjho
nafi sabaat man-o-tu moamla kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.