haq meri mohabbat ka ada kyun nahin karte
haq meri mohabbat ka ada kyun nahin karte
Mujeeb Zafar Anwar Hameedi
MORE BYMujeeb Zafar Anwar Hameedi
haq merī mohabbat kā adā kyuuñ nahīñ karte
tum dard to dete ho davā kyuuñ nahīñ karte
kyuuñ baiThe ho ḳhāmosh sirhāne mere aa kar
yaaro mire jiine kī duā kyuuñ nahīñ karte
phūloñ kī tarah jism hai patthar kī tarah dil
jaane ye hasīñ log vafā kyuuñ nahīñ karte
har baat parindoñ kī tarah uḌtī huī sī
jo baat bhī karte ho sadā kyuuñ nahīñ karte
lo dekho 'hamīdī' lab-e-dariyā pe hai dariyā
par pyaas hai kab kī ye patā kyuuñ nahīñ karte
haq meri mohabbat ka ada kyun nahin karte
tum dard to dete ho dawa kyun nahin karte
kyun baiThe ho KHamosh sirhane mere aa kar
yaro mere jine ki dua kyun nahin karte
phulon ki tarah jism hai patthar ki tarah dil
jaane ye hasin log wafa kyun nahin karte
har baat parindon ki tarah uDti hui si
jo baat bhi karte ho sada kyun nahin karte
lo dekho 'hamidi' lab-e-dariya pe hai dariya
par pyas hai kab ki ye pata kyun nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.