haq mera mujhko mere yar nahin dete hain
haq mirā mujh ko mire yaar nahīñ dete haiñ
dhuup meñ sāya-e-dīvār nahīñ dete haiñ
kaise dariyā ko karūñ paar ki mere mohsin
naav to dete haiñ patvār nahīñ dete haiñ
apnī nāmūs kī aatī hai hifāzat jin ko
jaan de dete haiñ dastār nahīñ dete haiñ
ḳhūgar-e-amn banāne kī hai ḳhvāhish jin ko
apne bachchoñ ko vo talvār nahīñ dete haiñ
ḳhud to 'āsī' ye basar karte haiñ ārām ke saath
chain nādāroñ ko zardār nahīñ dete haiñ
haq mera mujh ko mere yar nahin dete hain
dhup mein saya-e-diwar nahin dete hain
kaise dariya ko karun par ki mere mohsin
naw to dete hain patwar nahin dete hain
apni namus ki aati hai hifazat jin ko
jaan de dete hain dastar nahin dete hain
KHugar-e-amn banane ki hai KHwahish jin ko
apne bachchon ko wo talwar nahin dete hain
KHud to 'asi' ye basar karte hain aaram ke sath
chain nadaron ko zardar nahin dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.