haq nahin mujhko shadmani ka
haq nahīñ mujh ko shādmānī kā
shukriya ġham kī mehrbānī kā
aap ke aur hamāre aañsū meñ
farq hai aag aur paanī kā
hai mohabbat kā naam umr-e-abad
zikr hī kyā hayāt-e-fānī kā
ḳhud mire dil ne merī āñkhoñ ko
farz sauñpā hai ḳhūñ-fishānī kā
ahl-e-dil kī kahāniyāñ tauba
ek unvāñ hai har kahānī kā
kyoñ na sargoshiyāñ hoñ mahfil meñ
faiz hai merī be-zabānī kā
tere ġham se sivā ye ġham hai hameñ
jaane kyā ho tirī nishānī kā
sher rūdād-e-dil hai naam nahīñ
sirf alfāz kī ravānī kā
kārvāñ ke ġhubār meñ 'ashraf'
chhup gayā rañg zindagānī kā
haq nahin mujh ko shadmani ka
shukriya gham ki mehrbani ka
aap ke aur hamare aansu mein
farq hai aag aur pani ka
hai mohabbat ka nam umr-e-abad
zikr hi kya hayat-e-fani ka
KHud mere dil ne meri aankhon ko
farz saunpa hai KHun-fishani ka
ahl-e-dil ki kahaniyan tauba
ek unwan hai har kahani ka
kyon na sargoshiyan hon mahfil mein
faiz hai meri be-zabani ka
tere gham se siwa ye gham hai hamein
jaane kya ho teri nishani ka
sher rudad-e-dil hai nam nahin
sirf alfaz ki rawani ka
karwan ke ghubar mein 'ashraf'
chhup gaya rang zindagani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.