haq-pasand haq-ashna ho jaiye
haq-pasand haq-ashna ho jaiye
Mohammad Abdul Kabeer Hanfi
MORE BYMohammad Abdul Kabeer Hanfi
haq-pasand haq-āshnā ho jā.iye
aap apnā aa.ina ho jā.iye
shart un kī aao muusā kī tarah
apnī zid jalva-numā ho jā.iye
aur kab tak zulmatoñ kā tazkira
raushnī kā silsila ho jā.iye
rahzanī meñ parda-dārī shart hai
aisā kiije rahnumā ho jā.iye
ḳhaak honā hī muqaddar hai to phir
ḳhāk-e-pā-e-mustafā ho jā.iye
haq-pasand haq-ashna ho jaiye
aap apna aaina ho jaiye
shart un ki aao musa ki tarah
apni zid jalwa-numa ho jaiye
aur kab tak zulmaton ka tazkira
raushni ka silsila ho jaiye
rahzani mein parda-dari shart hai
aisa kije rahnuma ho jaiye
KHak hona hi muqaddar hai to phir
KHak-e-pa-e-mustafa ho jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.