haq se hua tha kabhi sina-e-alam gudaz
haq se huā thā kabhī sīna-e-ālam gudāz
mujh ko sunā dījiye phir vo navā-hā-e-rāz
zauq-e-talab hai to phir sūd-o-ziyāñ se guzar
rāh-e-vafā meñ na kar fikr-e-nasheb-o-farāz
aa hī ga.ī thī aaj niiñd sañg-e-dar-e-yār par
be-ḳhudī-e-ārzū umr ho terī darāz
phir dil-e-betāb ko chāhiye soz-o-gudāz
mutrib-e-ātish-nafs chheḌ chheḌ aur apnā raaz
kah chuke sab hāl-e-dil bārgah-e-dost meñ
'aḳhtar'-e-ḳhāmosh chheḌ tū bhī hadīs-e-niyāz
haq se hua tha kabhi sina-e-alam gudaz
mujh ko suna dijiye phir wo nawa-ha-e-raaz
zauq-e-talab hai to phir sud-o-ziyan se guzar
rah-e-wafa mein na kar fikr-e-nasheb-o-faraaz
aa hi gai thi aaj nind sang-e-dar-e-yar par
be-KHudi-e-arzu umr ho teri daraaz
phir dil-e-betab ko chahiye soz-o-gudaz
mutrib-e-atish-nafs chheD chheD aur apna raaz
kah chuke sab haal-e-dil bargah-e-dost mein
'aKHtar'-e-KHamosh chheD tu bhi hadis-e-niyaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.