haqiqat bhi lagne lagi hai kahani
haqīqat bhī lagne lagī hai kahānī
mujhe khā ga.ī hai mirī ḳhush-bayānī
nahīñ yaad mujh se milā thā kabhī vo
vagarna use yaad hai har kahānī
koī yaar bairī na apnā agar ho
to ye zindagī hai faqat rā.egānī
bas ik call par hī chale aa.e ho tum
navāzish karam shukriya mehrbānī
yahāñ dūr-o-nazdīk shahr-e-butāñ hai
kisī ko nahīñ dil kī hālat batānī
umaD aayā dil aise āñkhoñ meñ 'jāzib'
ki yakjā hoñ jaise kahīñ aag paanī
haqiqat bhi lagne lagi hai kahani
mujhe kha gai hai meri KHush-bayani
nahin yaad mujh se mila tha kabhi wo
wagarna use yaad hai har kahani
koi yar bairi na apna agar ho
to ye zindagi hai faqat raegani
bas ek call par hi chale aae ho tum
nawazish karam shukriya mehrbani
yahan dur-o-nazdik shahr-e-butan hai
kisi ko nahin dil ki haalat batani
umaD aaya dil aise aankhon mein 'jazib'
ki yakja hon jaise kahin aag pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.