haqiqat jaanta koi nahin hai
haqīqat jāntā koī nahīñ hai
bhale sab haiñ burā koī nahīñ hai
sab apnī apnī bolī bolte haiñ
kisī kā ham-navā koī nahīñ hai
jise paane kī sab ko hai tamanna
usī ko DhūñDhtā koī nahīñ hai
ḳhamoshī par mirī sab lab-kushā the
magar ab boltā koī nahīñ hai
tirī dānist meñ a.amāl tere
jahāñ meñ dekhtā koī nahīñ hai
bahāreñ gasht kartī haiñ chaman meñ
magar pattā harā koī nahīñ hai
tirī ulfat kī chāhat hai sabhī ko
magar mujh par fidā koī nahīñ hai
ḳhirad kī intihā maiñ chāhtā huuñ
junūñ kī intihā koī nahīñ hai
haqiqat jaanta koi nahin hai
bhale sab hain bura koi nahin hai
sab apni apni boli bolte hain
kisi ka ham-nawa koi nahin hai
jise pane ki sab ko hai tamanna
usi ko DhunDhta koi nahin hai
KHamoshi par meri sab lab-kusha the
magar ab bolta koi nahin hai
teri danist mein aamal tere
jahan mein dekhta koi nahin hai
bahaaren gasht karti hain chaman mein
magar patta hara koi nahin hai
teri ulfat ki chahat hai sabhi ko
magar mujh par fida koi nahin hai
KHirad ki intiha main chahta hun
junun ki intiha koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.