haqiqat mein koi kahani mila do
haqīqat meñ koī kahānī milā do
bahut aag hai thoḌā paanī milā do
yahī dā.imī mashġhalā hai hamārā
na.ī chiiz le lo purānī milā do
mohabbat faqat lafz thā ek ḳhālī
ye kis ne kahā thā ma.ānī milā do
mujhe niiñd se koī ranjish nahīñ hai
agar ḳhvāb kuchh āsmānī milā do
sitamgar kī tāqat isī se baḌhegī
tahammul meñ tum be-zabānī milā do
na jaane ḳhudā ko ye sūjhī kahāñ se
azal-rūh meñ jism-e-fānī milā do
chalo dostoñ ko ham aaj āzmā.e
'navā' baat meñ haq-bayānī milā do
haqiqat mein koi kahani mila do
bahut aag hai thoDa pani mila do
yahi daimi mashghala hai hamara
nai chiz le lo purani mila do
mohabbat faqat lafz tha ek KHali
ye kis ne kaha tha maani mila do
mujhe nind se koi ranjish nahin hai
agar KHwab kuchh aasmani mila do
sitamgar ki taqat isi se baDhegi
tahammul mein tum be-zabani mila do
na jaane KHuda ko ye sujhi kahan se
azal-ruh mein jism-e-fani mila do
chalo doston ko hum aaj aazmae
'nawa' baat mein haq-bayani mila do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.