Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haqiqat se zaban aagah kar le

Naseem Dehlvi

haqiqat se zaban aagah kar le

Naseem Dehlvi

MORE BYNaseem Dehlvi

    haqīqat se zabāñ āgāh kar le

    ye ism-e-allāh bismillāh kar le

    dhun se duur kar qufl duī ko

    zabāñ miftāh-e-il-lallāh kar le

    kudūrat dil se kho lahv-o-la.ab

    sa.ādat se safā hai raah kar le

    mubārakbād aish-o-jāh-o-daulat

    hazūz-e-umr ḳhātir-ḳhvāh kar le

    kahāñ fursat zamān-e-kashmakash meñ

    munāsib hai abhī kuchh raah kar le

    jise dekhā na dekh us ko kabhī

    na dekhā jis ko us chaah kar le

    saḳhā himmat muravvat haiñ tire paas

    koī hamrāh hamrāh kar le

    bhulāvā hai tilism-e-zindagānī

    vidā-e-hubb-e-uzv-e-jāh kar le

    'nasīm'-dehlavī ye aarzū hai

    kahīñ apnā mujhe allāh kar le

    haqiqat se zaban aagah kar le

    ye ism-e-allah bismillah kar le

    dhun se dur kar qufl dui ko

    zaban miftah-e-il-lallah kar le

    kudurat dil se kho lahw-o-lab ki

    saadat se safa hai rah kar le

    mubarakbaad aish-o-jah-o-daulat

    hazuz-e-umr KHatir-KHwah kar le

    kahan fursat zaman-e-kashmakash mein

    munasib hai abhi kuchh rah kar le

    jise dekha na dekh us ko kabhi tu

    na dekha jis ko us ki chah kar le

    saKHa himmat murawwat hain tere pas

    koi hamrah tu hamrah kar le

    bhulawa hai tilism-e-zindagani

    wida-e-hubb-e-uzw-e-jah kar le

    'nasim'-dehlawi ye aarzu hai

    kahin apna mujhe allah kar le

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now