haqiqaton ka sabhi ko pata nahin hota
haqīqatoñ kā sabhī ko pata nahīñ hotā
koī kisī se bichhaḌ ke judā nahīñ hotā
ta.alluqāt nibhānā nahīñ bahut mushkil
har aadmī meñ magar hausla nahīñ hotā
sharāb-ḳhāne kā har shaḳhs hai burā lekin
sharāb-ḳhāne meñ koī burā nahīñ hotā
mirī taraf se shikāyat kā intizār na kar
mujhe kisī se bhī koī gila nahīñ hotā
khulā ye raaz ka.ī baar mil ke 'shāhid' se
burā jo hai vo hamesha burā nahīñ hotā
haqiqaton ka sabhi ko pata nahin hota
koi kisi se bichhaD ke juda nahin hota
talluqat nibhana nahin bahut mushkil
har aadmi mein magar hausla nahin hota
sharab-KHane ka har shaKHs hai bura lekin
sharab-KHane mein koi bura nahin hota
meri taraf se shikayat ka intizar na kar
mujhe kisi se bhi koi gila nahin hota
khula ye raaz kai bar mil ke 'shahid' se
bura jo hai wo hamesha bura nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.