haqiqaton ko fasana bana ke bhul gaya
haqīqatoñ ko fasāna banā ke bhuul gayā
maiñ tere ishq kī har choT khā ke bhuul gayā
zarā ye dūrī-e-ehsās-e-husn-o-ishq to dekh
ki maiñ tujhe tire nazdīk aa ke bhuul gayā
ab us se baḌh ke bhī vāraftagī-e-dil kyā ho
ki tujh ko ziist kā hāsil banā ke bhuul gayā
gumān jis pe rahā manziloñ kā ik muddat
vo rahguzār bhī manzil meñ aa ke bhuul gayā
ab aisī hairat-o-vāraftagī ko kyā kahiye
duā ko haath uThā.e uThā ke bhuul gayā
dil-o-jigar haiñ ki garmī se pighle jaate haiñ
koī charāġh-e-tamannā jalā ke bhuul gayā
haqiqaton ko fasana bana ke bhul gaya
main tere ishq ki har choT kha ke bhul gaya
zara ye duri-e-ehsas-e-husn-o-ishq to dekh
ki main tujhe tere nazdik aa ke bhul gaya
ab us se baDh ke bhi waraftagi-e-dil kya ho
ki tujh ko zist ka hasil bana ke bhul gaya
guman jis pe raha manzilon ka ek muddat
wo rahguzar bhi manzil mein aa ke bhul gaya
ab aisi hairat-o-waraftagi ko kya kahiye
dua ko hath uThae uTha ke bhul gaya
dil-o-jigar hain ki garmi se pighle jate hain
koi charagh-e-tamanna jala ke bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.