haqiqaton ko jo kar rahe hain raqam lahu se range hue hain
haqiqaton ko jo kar rahe hain raqam lahu se range hue hain
Mohammad Ishtiyaaq Aalam
MORE BYMohammad Ishtiyaaq Aalam
haqīqatoñ ko jo kar rahe haiñ raqam lahū se rañge hue haiñ
lahū se tahrīr tar-ba-tar hai qalam lahū se rañge hue haiñ
mohabbatoñ kā vo qāfila jo vafā ke parcham liye hue thā
vo hai nishāne pe qātiloñ ke alam lahū se rañge hue haiñ
muhāfizoñ ke havāle kar ke makān apnā jo so rahe the
vo luT ga.e haiñ vo ro rahe haiñ haram lahū se rañge hue haiñ
qabīle vāloñ ko kyā huā hai samajh rahe haiñ usī ko qaa.id
qiyādatoñ ke junūñ meñ jis ke qadam lahū se rañge hue haiñ
jo mehrbāñ the jo multafit the karam navāzī thī aam jin kī
karīm jo the jo kar rahe the karam lahū se rañge hue haiñ
badan ke zaḳhmoñ ko kyā gineñ ham gila kareñ kyā batāo tum se
ye sab tumhārī ināyateñ haiñ jo ham lahū se rañge hue haiñ
sahāfatoñ kā safar bhī aalam baḌā hī mushkil bharā safar hai
lahū meñ bhīge hue haiñ kāġhaz qalam lahū se rañge hue haiñ
haqiqaton ko jo kar rahe hain raqam lahu se range hue hain
lahu se tahrir tar-ba-tar hai qalam lahu se range hue hain
mohabbaton ka wo qafila jo wafa ke parcham liye hue tha
wo hai nishane pe qatilon ke alam lahu se range hue hain
muhafizon ke hawale kar ke makan apna jo so rahe the
wo luT gae hain wo ro rahe hain haram lahu se range hue hain
qabile walon ko kya hua hai samajh rahe hain usi ko qaid
qiyaadaton ke junun mein jis ke qadam lahu se range hue hain
jo mehrban the jo multafit the karam nawazi thi aam jin ki
karim jo the jo kar rahe the karam lahu se range hue hain
badan ke zaKHmon ko kya ginen hum gila karen kya batao tum se
ye sab tumhaari inayaten hain jo hum lahu se range hue hain
sahafaton ka safar bhi aalam baDa hi mushkil bhara safar hai
lahu mein bhige hue hain kaghaz qalam lahu se range hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.