har aah gham-e-dil ki ghammaz nahin hoti
har aah ġham-e-dil kī ġhammāz nahīñ hotī
aur vaah masarrat kā āġhāz nahīñ hotī
jo rok nahīñ paatī ashkoñ kī ravānī ko
vo aañkh ġham-e-dil kī hamrāz nahīñ hotī
har ashk-e-shahanshāhī ik taaj nahīñ bantā
har malka zamāne meñ 'mumtāz' nahīñ hotī
miltī hai ḳhamoshī se zālim ko sazā yaaro
allāh kī lāThī meñ āvāz nahīñ hotī
ik Thos haqīqat hai alfāz ke paikar meñ
ye shā.irī shā.ir kā e.ajāz nahīñ hotī
yuuñ umr kī qaiñchī ne par mere katar Daale
ab laakh karūñ koshish parvāz nahīñ hotī
daulat kī badaulat jo bandhtī hai 'asad' sar par
dastār-e-fazīlat vo e.azāz nahīñ hotī
har aah gham-e-dil ki ghammaz nahin hoti
aur wah masarrat ka aaghaz nahin hoti
jo rok nahin pati ashkon ki rawani ko
wo aankh gham-e-dil ki hamraaz nahin hoti
har ashk-e-shahanshahi ek taj nahin banta
har malka zamane mein 'mumtaz' nahin hoti
milti hai KHamoshi se zalim ko saza yaro
allah ki laThi mein aawaz nahin hoti
ek Thos haqiqat hai alfaz ke paikar mein
ye shairi shair ka eajaz nahin hoti
yun umr ki qainchi ne par mere katar Dale
ab lakh karun koshish parwaz nahin hoti
daulat ki badaulat jo bandhti hai 'asad' sar par
dastar-e-fazilat wo eazaz nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.