Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har aaine se mera dil puchhta hai

Salik Lakhnavi

har aaine se mera dil puchhta hai

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    har ā.īne se merā dil pūchhtā hai

    ye 'sālik' vahī hai pahchāntā hai

    vo sach laa.e jitne vo sab jhūTh nikle

    mujhe jhūTā kahte haiñ vo intihā hai

    ḳhudā āzmā.e sanam āzmā.e

    sanam jānte haiñ ḳhudā jāntā hai

    bahut suunī suunī haiñ lailā rāheñ

    ki majnūñ dil be-sadā ho gayā hai

    ye maanā ki sab haiñ ravāñ sū-e-manzil

    jise dekho vo qāfile se judā hai

    maiñ tauba-zada huuñ mujhe ye batāo

    mire ba.ad maiḳhāne haal kyā hai

    har aaine se mera dil puchhta hai

    ye 'salik' wahi hai tu pahchanta hai

    wo sach lae jitne wo sab jhuTh nikle

    mujhe jhuTa kahte hain wo intiha hai

    KHuda aazmae sanam aazmae

    sanam jaante hain KHuda jaanta hai

    bahut suni suni hain laila ki rahen

    ki majnun ka dil be-sada ho gaya hai

    ye mana ki sab hain rawan su-e-manzil

    jise dekho wo qafile se juda hai

    main tauba-zada hun mujhe ye batao

    mere baad maiKHane ka haal kya hai

    Source :
    • Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 89)
    • Author : فرحت احساس
    • Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now