har aalam-e-fareb-e-nazar rang rang hai
har ālam-e-fareb-e-nazar rang rang hai
insāñ ba-qadr-e-fikr baḌā hīlā-sāz hai
dasht-e-balā darāz zahe chāk-dāmanī
dīvānagāñ ḳhudā-e-junūñ kārsāz hai
rasm-o-rah-e-majāz ke ādāb dekhiye
paidā qadam qadam pe had-e-imtiyāz hai
rakhnā hai phūñk phūñk sar-e-rah-guzar qadam
ai dost gām-gām nasheb-o-farāz hai
'nāzish' na chheḌ sāz-e-junūñ ab samāñ nahīñ
yārāñ na sun sakeñge hikāyat darāz hai
har aalam-e-fareb-e-nazar rang rang hai
insan ba-qadr-e-fikr baDa hila-saz hai
dasht-e-bala daraaz zahe chaak-damani
diwanagan KHuda-e-junun karsaz hai
rasm-o-rah-e-majaz ke aadab dekhiye
paida qadam qadam pe had-e-imtiyaz hai
rakhna hai phunk phunk sar-e-rah-guzar qadam
ai dost gam-gam nasheb-o-faraaz hai
'nazish' na chheD saz-e-junun ab saman nahin
yaran na sun sakenge hikayat daraaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.