aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har aan jalwa nai aan se hai aane ka

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

har aan jalwa nai aan se hai aane ka

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    har aan jalva na.ī aan se hai aane

    chalan ye chalte ho āshiq jaan jaane

    qasam qadam tire jab talak hai dam meñ dam

    maiñ paañv par se tire sar nahīñ uThāne

    hamārī jaan pe girtī hai barq-e-ġham zālim

    tujhe to sahl hai shaġhl muskurāne

    qasam ḳhudā maiñ kuchh khā ke so rahūñgā sanam

    jo saath apne nahīñ mujh ko sulāne

    nasīb us ke sharāb-e-bahisht hove mudām

    huā hai jo koī mūjid sharāb-ḳhāne

    bahut se ḳhūn-ḳharābe macheñge ḳhāna-ḳharāb

    yahī hai rañg agar tere paan khāne

    hamārī chhātī pe phirtā hai saañp yaañ 'ehsāñ'

    vahāñ hai shaġhl use zulf ke banāne

    har aan jalwa nai aan se hai aane ka

    chalan ye chalte ho aashiq ki jaan jaane ka

    qasam qadam ki tere jab talak hai dam mein dam

    main panw par se tere sar nahin uThane ka

    hamari jaan pe girti hai barq-e-gham zalim

    tujhe to sahl sa hai shaghl muskurane ka

    qasam KHuda ki main kuchh kha ke so rahunga sanam

    jo sath apne nahin mujh ko tu sulane ka

    nasib us ke sharab-e-bahisht howe mudam

    hua hai jo koi mujid sharab-KHane ka

    bahut se KHun-KHarabe machenge KHana-KHarab

    yahi hai rang agar tere pan khane ka

    hamari chhati pe phirta hai sanp yan 'ehsan'

    wahan hai shaghl use zulf ke banane ka

    Source:

    Kulliyat-e-Ehsan (Pg. ebook-83 page-21)

    • Author: Rafia Sultana
      • Edition: 1968
      • Publisher: Rafia Sultana
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now