Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har adawat ki ibtida hai ishq

Qalaq Merathi

har adawat ki ibtida hai ishq

Qalaq Merathi

MORE BYQalaq Merathi

    har adāvat ibtidā hai ishq

    ki mohabbat intihā hai ishq

    lo zuleḳhā ko kab huā hai ishq

    kis qadar tāqat-āzmā hai ishq

    falak o mudda.ī o yaar o ajal

    sab bhale haiñ magar burā hai ishq

    dekhiye is hogā kyā anjām

    ab ḳhudā se hameñ huā hai ishq

    ho chukā ham se kuchh jo honā thā

    ne ye haal kyā kiyā hai ishq

    vāmiq-o-qais-o-kohkan kyā the

    ajal-o-āfat-o-balā hai ishq

    dekhnā shauq-o-sharm sheva

    husn-e-ḳhud-bīñ hai ḳhud-numā hai ishq

    kaun jaane thā us nām-o-numūd

    merī barbādī se banā hai ishq

    dil karo ḳhuuñ to kyā hai dildārī

    jaan jaatī rahe to kyā hai ishq

    ġham-zadā.ī meñ ġham-fazā kyā kuchh

    dil-rubā na jāñ-rubā hai ishq

    bā-vafā vo haiñ bevafā hai husn

    bevafā ham haiñ bā-vafā hai ishq

    ġhamza ġhamza ġham meñ kartā hai

    kuchh se kuchh ab to ho gayā hai ishq

    kaise kaisoñ us ne hai jaan

    dekhnā kyā ḳhush-adā hai ishq

    kyuuñ ke mātam na ab vafā rahe

    mere marte mar miTā hai ishq

    dekhnā marg-o-zīst ke jhagḌe

    jāñ-fazā husn-o-jāñ-guzā hai ishq

    vaisā hai farishta jaisī ruuh

    ai 'qalaq' terā āshnā hai ishq

    har adawat ki ibtida hai ishq

    ki mohabbat ki intiha hai ishq

    lo zuleKHa ko kab hua hai ishq

    kis qadar taqat-azma hai ishq

    falak o muddai o yar o ajal

    sab bhale hain magar bura hai ishq

    dekhiye is ka hoga kya anjam

    ab KHuda se hamein hua hai ishq

    ho chuka hum se kuchh jo hona tha

    tu ne ye haal kya kiya hai ishq

    wamiq-o-qais-o-kohkan kya the

    ajal-o-afat-o-bala hai ishq

    dekhna shauq-o-sharm ka shewa

    husn-e-KHud-bin hai KHud-numa hai ishq

    kaun jaane tha us ka nam-o-numud

    meri barbaadi se bana hai ishq

    dil karo KHun to kya hai dildari

    jaan jati rahe to kya hai ishq

    gham-zadai mein gham-faza kya kuchh

    dil-ruba ya na jaan-ruba hai ishq

    ba-wafa wo hain bewafa hai husn

    bewafa hum hain ba-wafa hai ishq

    ghamza sa ghamza gham mein karta hai

    kuchh se kuchh ab to ho gaya hai ishq

    kaise kaison ki us ne li hai jaan

    dekhna kya hi KHush-ada hai ishq

    kyun ke matam na ab wafa ka rahe

    mere marte hi mar miTa hai ishq

    dekhna marg-o-zist ke jhagDe

    jaan-faza husn-o-jaan-guza hai ishq

    waisa hi hai farishta jaisi ruh

    ai 'qalaq' tera aashna hai ishq

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now