har barahman but har ek muslim KHuda le jaega
har barahman but har ik muslim ḳhudā le jā.egā
mere dar se har marīz apnī davā le jā.egā
ḳhud mujhe aanā hai tere paas yā burda tirā
mere paas aa.egā aur mujh ko uThā le jā.egā
maiñ had-e-fāsil tak aa pahuñchā jo shauq-e-vasl meñ
vo had-e-fāsil ko aur aage baḌhā le jā.egā
mujh ko jaane kis taraf se lā rahā hai rāsta
mujh ko jaane kis taraf ye rāsta le jā.egā
apne ghar ke saare darvāze khule rakhtā huuñ maiñ
juz mire is ghar se koī chor kyā le jā.egā
ā.īna-bīnī ke ba.ad 'ākāsh' āñkhoñ ko sambhāl
ek bhī aañsū agar Tapkā bahā le jā.egā
har barahman but har ek muslim KHuda le jaega
mere dar se har mariz apni dawa le jaega
KHud mujhe aana hai tere pas ya burda tera
mere pas aaega aur mujh ko uTha le jaega
main had-e-fasil tak aa pahuncha jo shauq-e-wasl mein
wo had-e-fasil ko aur aage baDha le jaega
mujh ko jaane kis taraf se la raha hai rasta
mujh ko jaane kis taraf ye rasta le jaega
apne ghar ke sare darwaze khule rakhta hun main
juz mere is ghar se koi chor kya le jaega
aaina-bini ke baad 'akash' aankhon ko sambhaal
ek bhi aansu agar Tapka baha le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.