har chand abhi KHud par zahir mein aur mere ahbab nahin
har chand abhi KHud par zahir mein aur mere ahbab nahin
Ghaus Mohammad Ghausi
MORE BYGhaus Mohammad Ghausi
har chand abhī ḳhud par zāhir meñ aur mire ahbāb nahīñ
yāroñ pe fidā hone vaale kam-yāb sahī nāyāb nahīñ
duniyā kā bharam qaa.em rakhnā auroñ ke liye jiinā marnā
is daur kī vo tahzīb nahīñ is daur ke vo ādāb nahīñ
kashtī pe thapeḌoñ kā hai asar tīkhe sahī maujoñ ke tevar
phir bhī pas-e-manzar meñ yaaro sāzish hai koī girdāb nahīñ
mahbūb-adā hairat-afzā ḳhushbū-sīrat jalva-sūrat
ye ḳhvāb hamāre apne haiñ ye ḳhvāb parā.e ḳhvāb nahīñ
har mauj-e-ravāñ be-faiz rahī be-sāya shajar jaisī ubhrī
dariyā bhī sarāb-āsā niklā ik lab-tishna sairāb nahīñ
bāzār-e-vafā aur be-raunaq ye to alamiyya hai 'ġhausī'
hiire haiñ magar ḳhush-tāb nahīñ motī haiñ magar pur-āb nahīñ
har chand abhi KHud par zahir mein aur mere ahbab nahin
yaron pe fida hone wale kam-yab sahi nayab nahin
duniya ka bharam qaem rakhna auron ke liye jina marna
is daur ki wo tahzib nahin is daur ke wo aadab nahin
kashti pe thapeDon ka hai asar tikhe sahi maujon ke tewar
phir bhi pas-e-manzar mein yaro sazish hai koi girdab nahin
mahbub-ada hairat-afza KHushbu-sirat jalwa-surat
ye KHwab hamare apne hain ye KHwab parae KHwab nahin
har mauj-e-rawan be-faiz rahi be-saya shajar jaisi ubhri
dariya bhi sarab-asa nikla ek lab-tishna sairab nahin
bazar-e-wafa aur be-raunaq ye to alamiyya hai 'ghausi'
hire hain magar KHush-tab nahin moti hain magar pur-ab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.