Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har-chand bhare dil mein hain lakhon hi gile par

Jurat Qalandar Bakhsh

har-chand bhare dil mein hain lakhon hi gile par

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    har-chand bhare dil meñ haiñ lākhoñ gile par

    kyā kahiye ki khultā nahīñ muñh vaqt mile par

    be-dard vo aisā hai ki marham jagah haa.e

    chhiḌke hai namak mere har ik zaḳhm chhile par

    dil ko na vāshud ho to kyā lutf mile haa.e

    khiltī hai jo ġhuncha-e-gul to khile par

    mash.hūr javānī meñ ho vo kyuuñ na jagat-bāz

    mailān-e-tabī.at thā laḌakpan se zile par

    ham gulshan-e-hairat meñ haiñ parvāz kahāñ

    juuñ bulbul-e-tasvīr kabhī Tuk na hile par

    sun vasf-e-dahan dījiye kuchh muñh se piyāre

    mujh shā.er-e-muflis hai guzrān sile par

    kis muñh se bayāñ kījiye vo lutf ki 'jur.at'

    dushnām jo vaañ miltī haiñ Tuk aañkh mile par

    har-chand bhare dil mein hain lakhon hi gile par

    kya kahiye ki khulta nahin munh waqt mile par

    be-dard wo aisa hai ki marham ki jagah hae

    chhiDke hai namak mere har ek zaKHm chhile par

    ta dil ko na washud ho to kya lutf mile hae

    khilti hai jo bu ghuncha-e-gul ki to khile par

    mashhur jawani mein ho wo kyun na jagat-baz

    mailan-e-tabiat tha laDakpan se zile par

    hum gulshan-e-hairat mein hain parwaz kahan ki

    jun bulbul-e-taswir kabhi Tuk na hile par

    sun wasf-e-dahan dijiye kuchh munh se piyare

    mujh shaer-e-muflis ki hai guzran sile par

    kis munh se bayan kijiye wo lutf ki 'jurat'

    dushnam jo wan milti hain Tuk aankh mile par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now