Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har-chand ki ho mariz-e-mohtat

Mushafi Ghulam Hamdani

har-chand ki ho mariz-e-mohtat

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    har-chand ki ho marīz-e-mohtāt

    kyā kar sake bā-fasād iḳhlāt

    idrīs sālahā rahī hai

    kūche meñ tire dukān-e-ḳhayyāt

    ruḳh par tire dekh sabza-e-ḳhat

    hairān haiñ sab jahāñ ke ḳhattāt

    jitnī mire dil meñ hai terī chaah

    kam hogī na is se niim qīrāt

    ḳhuuñ se tire bismiloñ ke dekhī

    kūche meñ tire bichhī suqarlāt

    qad us nahīñ agarche kotah

    hai jism lāġharī ba-ifrāt

    ai yaaro na 'mus.hafī' ko koī

    samjho na kam-az-rashīd-vitvāt

    har-chand ki ho mariz-e-mohtat

    kya kar sake ba-fasad iKHlat

    idris ki salaha rahi hai

    kuche mein tere dukan-e-KHayyat

    ruKH par tere dekh sabza-e-KHat

    hairan hain sab jahan ke KHattat

    jitni mere dil mein hai teri chah

    kam hogi na is se nim qiraat

    KHun se tere bismilon ke dekhi

    kuche mein tere bichhi suqarlat

    qad us ka nahin agarche kotah

    hai jism ki laghari ba-ifraat

    ai yaro na 'mushafi' ko koi

    samjho na kam-az-rashid-witwat

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii(panjum) (Pg. 153)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now