har-chand sahaara hai tere pyar ka dil ko
har-chand sahārā hai tire pyaar kā dil ko
rahtā hai magar ek 'ajab ḳhauf sā dil ko
vo ḳhvāb ki dekhā na kabhī le uḌā nīñdeñ
vo dard ki uTThā na kabhī khā gayā dil ko
yā saañs kā lenā bhī guzar jaanā hai jī se
yā ma.arka-e-ishq bhī ik khel thā dil ko
vo aa.eñ to hairān vo jaa.eñ to pareshān
yā-rab koī samjhā.e ye kyā ho gayā dil ko
sone na diyā shorish-e-hastī ne ghaḌī bhar
maiñ laakh tirā zikr sunātā rahā dil ko
rūdād-e-mohabbat na rahī is ke sivā yaad
ik ajnabī aayā thā uḌā le gayā dil ko
juz gard-e-ḳhamoshī nahīñ 'shohrat' yahāñ kuchh bhī
kis manzil-e-ābād meñ pahuñchā liyā dil ko
har-chand sahaara hai tere pyar ka dil ko
rahta hai magar ek 'ajab KHauf sa dil ko
wo KHwab ki dekha na kabhi le uDa ninden
wo dard ki uTTha na kabhi kha gaya dil ko
ya sans ka lena bhi guzar jaana hai ji se
ya marka-e-ishq bhi ek khel tha dil ko
wo aaen to hairan wo jaen to pareshan
ya-rab koi samjhae ye kya ho gaya dil ko
sone na diya shorish-e-hasti ne ghaDi bhar
main lakh tera zikr sunata raha dil ko
rudad-e-mohabbat na rahi is ke siwa yaad
ek ajnabi aaya tha uDa le gaya dil ko
juz gard-e-KHamoshi nahin 'shohrat' yahan kuchh bhi
kis manzil-e-abaad mein pahuncha liya dil ko
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 04.08.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.