har chand zulmaton ke hawale bahut mile
har chand zulmatoñ ke havāle bahut mile
raste meñ mujh ko phir bhī ujāle bahut mile
insāniyat kā kaun hai qātil pata to hai
lekin sabhī zabānoñ pe taale bahut mile
jazbāt-e-dil ne 'azm ko maġhlūb kar diyā
manzil milī to paañv meñ chhāle bahut mile
lagtā hai in saroñ pe hai ik bojh qarz kā
hāthoñ meñ thartharāte nivāle bahut mile
dil ko ġham-e-husain kā pāband kar diyā
is dil meñ mujh ko karbalā vaale bahut mile
koī bhī dard bāñTne vaalā nahīñ milā
haañ facebōk pe chāhne vaale bahut mile
'ātish' sunī hai ahl-e-siyāsat kī guftugū
sachchā.iyoñ meñ mirch masāle bahut mile
har chand zulmaton ke hawale bahut mile
raste mein mujh ko phir bhi ujale bahut mile
insaniyat ka kaun hai qatil pata to hai
lekin sabhi zabanon pe tale bahut mile
jazbaat-e-dil ne 'azm ko maghlub kar diya
manzil mili to panw mein chhaale bahut mile
lagta hai in saron pe hai ek bojh qarz ka
hathon mein thartharaate niwale bahut mile
dil ko gham-e-husain ka paband kar diya
is dil mein mujh ko karbala wale bahut mile
koi bhi dard banTne wala nahin mila
han facebook pe chahne wale bahut mile
'atish' suni hai ahl-e-siyasat ki guftugu
sachchaiyon mein mirch masale bahut mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.