har chiz se mawara KHuda hai
har chiiz se māvarā ḳhudā hai
duniyā kā ajiib silsila hai
kyā aa.e nazar ki rāstoñ meñ
sadiyoñ kā ġhubār uḌ rahā hai
jitnī ki qarīb-tar hai duniyā
utnā hī tavīl fāsla hai
alfāz meñ band haiñ ma.ānī
unvān-e-kitāb-e-dil khulā hai
kāñToñ meñ gulāb khil rahe haiñ
zehnoñ meñ alaao jal rahā hai
har chiz se mawara KHuda hai
duniya ka ajib silsila hai
kya aae nazar ki raston mein
sadiyon ka ghubar uD raha hai
jitni ki qarib-tar hai duniya
utna hi tawil fasla hai
alfaz mein band hain maani
unwan-e-kitab-e-dil khula hai
kanTon mein gulab khil rahe hain
zehnon mein alao jal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.