Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har dam dua-e-ab-o-hawa mangte rahe

Anwar Minai

har dam dua-e-ab-o-hawa mangte rahe

Anwar Minai

har dam duā-e-āb-o-havā māñgte rahe

nañge daraḳht sabz qabā māñgte rahe

yāroñ e'tiqād bhī andhā thā is qadar

gūñgī rivāyatoñ se sadā māñgte rahe

kitnī ajiib baat thī jab sard raat se

ham dopahar garm havā māñgte rahe

karte rahe jo din ke ujāloñ se ehtirāz

vo bhī añdherī shab meñ ziyā māñgte rahe

kuchh log aise bhī the jo lamhāt-e-karb se

āsūda sā.atoñ pata māñgte rahe

har dam dua-e-ab-o-hawa mangte rahe

nange daraKHt sabz qaba mangte rahe

yaron ka e'tiqad bhi andha tha is qadar

gungi riwayaton se sada mangte rahe

kitni ajib baat thi jab sard raat se

hum dopahar ki garm hawa mangte rahe

karte rahe jo din ke ujalon se ehtiraaz

wo bhi andheri shab mein ziya mangte rahe

kuchh log aise bhi the jo lamhat-e-karb se

aasuda saaton ka pata mangte rahe

Source :
  • Book : Roshni Ke Phool (Pg. 37)
  • Author : Anwar Minai
  • Publication : Maktaba Jamia Ltd. Urdu Bazar Jamia Nagar, Delhi (1986)
  • Edition : 1986
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now