har dil mein ek dard chhupa hai har ek aankh mein pani hai
har dil meñ ik dard chhupā hai har ik aañkh meñ paanī hai
sab kā ek fasāna apnā sab kī ek kahānī hai
bastī bastī sahrā sahrā vahshat kā ik 'ālam hai
uThtī haiñ jis jānib āñkheñ chhā.ī ik vīrānī hai
ruḳhsat meñ zulmat kī phūloñ par ashkoñ ke qatre haiñ
yā phir din kī aamad meñ shāyad gauhar-afshānī hai
saaqī terī mahfil meñ ik dīvāne kī aamad par
zer-e-sajda har ik sham'-e-mahfil kī peshānī hai
har dil mein ek dard chhupa hai har ek aankh mein pani hai
sab ka ek fasana apna sab ki ek kahani hai
basti basti sahra sahra wahshat ka ek 'alam hai
uThti hain jis jaanib aankhen chhai ek virani hai
ruKHsat mein zulmat ki phulon par ashkon ke qatre hain
ya phir din ki aamad mein shayad gauhar-afshani hai
saqi teri mahfil mein ek diwane ki aamad par
zer-e-sajda har ek sham'-e-mahfil ki peshani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.