har dost ko aazmā rahā huuñ
dānista fareb khā rahā huuñ
jaada na koī nishān-e-manzil
kis samt qadam baḌhā rahā huuñ
vo aur nigāh-e-lutf mujh par
kis vahm meñ mubtalā rahā huuñ
kyā yuuñ palaT aa.egā vo bachpan
kyoñ ret ke ghar banā rahā huuñ
ik zarra-e-ḳhāk huuñ maiñ lekin
sūraj se nazar milā rahā huuñ
'ābid' ye hai be-hisoñ kī mahfil
haal apnā kahāñ sunā rahā huuñ
har dost ko aazma raha hun
danista fareb kha raha hun
jada na koi nishan-e-manzil
kis samt qadam baDha raha hun
wo aur nigah-e-lutf mujh par
kis wahm mein mubtala raha hun
kya yun palaT aaega wo bachpan
kyon ret ke ghar bana raha hun
ek zarra-e-KHak hun main lekin
suraj se nazar mila raha hun
'abid' ye hai be-hison ki mahfil
haal apna kahan suna raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.