har dushman-e-wafa mujhe mahbub ho gaya
har dushman-e-vafā mujhe mahbūb ho gayā
jo mo.ajaza huā vo bahut ḳhuub ho gayā
ishq ek sīdhī-sādī sī mantiq kī baat hai
raġhbat mujhe huī to vo marġhūb ho gayā
dīvāngī baġhair hayāt itnī talḳh thī
jo shaḳhs bhī zahīn thā majzūb ho gayā
mujrim thā jo vo apnī zehānat se bach gayā
jis se ḳhatā na kī thī vo maslūb ho gayā
vo ḳhat jo us ke haath se purze huā 'adam'
duniyā kā sab se qīmtī maktūb ho gayā
har dushman-e-wafa mujhe mahbub ho gaya
jo moajaza hua wo bahut KHub ho gaya
ishq ek sidhi-sadi si mantiq ki baat hai
raghbat mujhe hui to wo marghub ho gaya
diwangi baghair hayat itni talKH thi
jo shaKHs bhi zahin tha majzub ho gaya
mujrim tha jo wo apni zehanat se bach gaya
jis se KHata na ki thi wo maslub ho gaya
wo KHat jo us ke hath se purze hua 'adam'
duniya ka sab se qimti maktub ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.