Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye

Abul Mujahid Zahid

har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye

Abul Mujahid Zahid

har ehtimām hai do din zindagī ke liye

sukūn-e-qalb nahīñ phir bhī aadmī ke liye

tamām umr ḳhushī talāsh meñ guzrī

tamām umr taraste rahe ḳhushī ke liye

na khā fareb vafā ye bevafā duniyā

kabhī kisī ke liye hai kabhī kisī ke liye

ye daur-e-shams-o-qamar ye faroġh-e-ilm-o-hunar

zamīn phir bhī tarastī hai raushnī ke liye

kabhī uThe the jo ḳhurshīd-e-zindagī ban kar

taras rahe haiñ vo tāroñ raushnī ke liye

sitam-tarāzi-e-daur-e-ḳhirad ḳhudā panāh

ki aadmī musībat hai aadmī ke liye

rah-e-hayāt tārīkiyoñ meñ ai 'zāhid'

charāġh-e-dil hai mire paas raushnī ke liye

har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye

sukun-e-qalb nahin phir bhi aadmi ke liye

tamam umr KHushi ki talash mein guzri

tamam umr taraste rahe KHushi ke liye

na kha fareb wafa ka ye bewafa duniya

kabhi kisi ke liye hai kabhi kisi ke liye

ye daur-e-shams-o-qamar ye farogh-e-ilm-o-hunar

zamin phir bhi tarasti hai raushni ke liye

kabhi uThe the jo KHurshid-e-zindagi ban kar

taras rahe hain wo taron ki raushni ke liye

sitam-taraazi-e-daur-e-KHirad KHuda ki panah

ki aadmi hi musibat hai aadmi ke liye

rah-e-hayat ki tarikiyon mein ai 'zahid'

charagh-e-dil hai mere pas raushni ke liye

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now